A haunting melody that captures longing and nostalgia, intertwining heartfelt lyrics with a soulful voice, evoking deep memories of love lost.
Kya Meri Yaad Aati Hai - Song Lyrics
Bikhra hoon main toh, hawa mein nazar na aaunga
Khushboo banke tujhko kabhi chhoo jaaunga
Mauka jo mila toh, mita jo faasla toh
Main baaton mein yeh baatein laaunga
Kya meri yaad aati hai?
Kya raaton
Read More >>
ko jagaati hai?
Tujhe main poochna chaahun
"Kya meri yaad aati hai?"
Kya meri yaad aati hai?
Hasati hai, rulati hai?
Tujhe main poochna chaahun
"Kya meri yaad aati hai?"
O, meri jaan bhi tu, main yeh sajda karoon
Rabba, dil se yeh nikli dua hai
Jahan yaar mera, wahan pyaar mera
Tu leja mujhe ya tu khabar de
O rabba, mere dil se yeh nikli dua hai
Tu leja mujhe, mera woh pyaar jahan hai
Ho, mera yaar jahan, hai jaan wahan
Ab jiyein toh jiyein kaise?
Woh ek almari jo kamre mein baayein hain
Rakhe hain usmein kuchh nishaan
Tasveer meri koi chupke se kaanon mein
Bolegi, "Ab main hoon kahan"
Yeh bhi toh sach hai, main door hoon ab
Haan, main zara sa majboor hoon ab
Baatein kitni dil mein baaki hain
Kya meri yaad aati hai?
Kya raaton ko jagaati hai?
Tujhe main poochna chaahun
"Kya meri yaad aati hai?"
Kya meri yaad aati hai?
Hasati hai, rulati hai?
Tujhe main poochna chaahun
"Kya meri yaad aati hai?"
Meri jaan bhi tu, main yeh sajda karoon
Rabba, dil se yeh nikli dua hai
Ke jahan yaar mera, wahan pyaar mera
Tu leja mujhe ya tu khabar de
O rabba, mere dil se yeh nikli dua hai
Tu leja mujhe, mera woh pyaar jahan hai
Ho, mera yaar jahan, hai jaan wahan
Ab jiyein toh jiyein kaise?
Aankhein teri batati hain (meri jaan bhi tu, main yeh sajda karoon, Rabba, dil se yeh nikli dua hai)
Ke meri yaad aati hai (ke jahan yaar mera, wahan pyar mera, tu leja mujhe ya tu khabar de)
Aankhein teri batati hain (meri jaan bhi tu main yeh sajda karun, Rabba, dil se yeh nikli dua hai)
Ke meri yaad aati hai